Sunday, December 6, 2009

Mein Aur Meri Awargi

Phirte Hain Kab Se Dar-ba-dar,Ab Is Nagar Ab Us Nagar,Ek Doosre Ke Humsafar,Main Aur Meri Awaargi
Na Aashna Har Rehguzar,Na Meherbaan Har Ek Nazar,Jaayein To Ab Jaane Kidhar,Main Aur Meri Awaargi
Hum Bhi Kabhi Aabaad The,Aese Kahaan Barbaad The,Hum Bhi Kabhi Aabaad The,Aese Kahaan Barbaad The
Befikr The Aazaad The,Masroor The Dilshaad The,Wo Chaal Aesi Chal Gayaa,Hum Bujh Gaye Dil Jal Gayaa
Nikle Jalaa Kar Apanaa Ghar,Main Aur Meri Awaargi

Phir Yoon Huwa Wo Kho Gayi,Aur Mujh Ko Zid Si Ho Gayi,Laayeinge Us Ko Dhoond Kar,Main Aur Meri Awaargi
Ye Dil Hi Tha Jo Seh Gayaa,Wo Baat Aesi Keh Gayaa,Kehne Ko Phir Kya Reh Gayaa,Ashkon Ka Dariyaa Beh Gayaa
Jab Keh Ke Vo Dilbar Gayaa,Tere Liye Main Mar Gayaa,Rote Hain Us Ko Raat Bhar ,Main Aur Meri Awaargi!!

2 comments:

अनवारुल हसन [AIR - FM RAINBOW 100.7 Lko] said...

JAANE KAHAN CHALI HAI LEKAR YE MUJHE SHAAM
AWARGI MEIN AAJ MAIN HO JAOON NA BADNAAM.
MAR KAR HI KHATM HOGA YE 'ANWAR' KA SAFAR,
CHALNA HAI MERI ZINDGI CHALTA HOON SUBHO SHAAM.

Aamir said...

waah mere dard-man-dost