Sunday, December 13, 2009

Dil Mein Phir Aaj Teri Yaad Ka Mausam


Woh bheege baal woh bheega badan,woh bheegi bheegi har dharkan
Woh gaal haya mein doobe hue,wo hont wafa se larze hue

Dil mein phir aaj teri yaad ka mausam aaya ,phir mere seene mein tu dard daba dam laaya
Jab bhi saawan koi barsa mujhe mehsoos hua,ishq ke dariya mein tu mujhko bhigone aaya

Kya ab bhi tumhari furqat mein ek saawan koi likhta hai?
Kya ab bhi tumhare honthon par ek chumban koi rakharta hai?
Kya abb bhi tumhare shaanon se malmal ka dupatta girta hai?
Kya ab bhi tumhari baahon meiek dil sa koi rehta hai?

Main tumko soch raha hoon bass,tum mujh mein doobti jaati hoon bass
Main tum mein doobta jaata hoon bass,tum mere shane se lag karkaan mein kuchh kehne waali ho
Tum mere khwabon ki duniya ki ek samundar si shehzaadi ho

Dil mein phir aaj teri yaad ka mausam aaya...........

No comments: